Mata-e-ishq Zara Aur Sarf-e-naz To Ho

mata-e-ishq zara aur sarf-e-naz to ho

tazzi-e-umr ka aaKHir koi jawaz to ho

ba-ham-digar koi shab us se lab-ba-lab to chale

hawa-e-shauq kuchh aaluda-e-majaz to ho

qadam qadam koi saya sa muttasil to rahe

sarab ka ye sar-e-silsila daraaz to ho

wo kam-suKHan na kam-amez phir takalluf kya

kuchh us se baat to Thahre kuchh us se saz to ho

wafa se manzil-e-tark-e-wafa tak aa nikle

kisi bahane to patthar kabhi gudaz to ho

shafaq kinaya-e-lab sham istara-e-zulf

kabhi KHayal wasilon se be-niyaz to ho

huzur-e-naz abas hai KHayal-e-jaan 'gauhar'

niyaz mahram-e-KHamyaza-e-niyaz to ho

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mata-e-ishq Zara Aur Sarf-e-naz To Ho In English By Famous Poet Gauhar Hoshiyarpuri. Mata-e-ishq Zara Aur Sarf-e-naz To Ho is written by Gauhar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Mata-e-ishq Zara Aur Sarf-e-naz To Ho for youth and Student by Gauhar Hoshiyarpuri. Free Download Mata-e-ishq Zara Aur Sarf-e-naz To Ho in PDF.