Shairi Baat Nahin Garm-e-suKHan Hone Ki

shairi baat nahin garm-e-suKHan hone ki

shart hi aur hai shaista-e-fan hone ki

main ki har-dam mujhe baalidgi-e-ruh ki fikr

ruh ko fikr hai warasta-e-tan hone ki

ram-ba-ram silsila-e-mauj-e-ghazalan-e-KHayal

dasht-e-ghurbat ko bashaarat ho watan hone ki

partaw-e-rang se gulgun hua mamura-e-chashm

dhum hai ku-e-tamasha ke chaman hone ki

haq-parasti ko yahan kaun hai aamada-e-dar

kis ko taufiq hai be-gor-o-kafan hone ki

ya bachega na sahar tak koi darmanda-e-shab

ya sahar hi nahin KHakam-ba-dahan hone ki

dard ki sal-girah KHair se guzre 'gauhar'

aa gai raat wahi chand-gahan hone ki

(2560) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shairi Baat Nahin Garm-e-suKHan Hone Ki In English By Famous Poet Gauhar Hoshiyarpuri. Shairi Baat Nahin Garm-e-suKHan Hone Ki is written by Gauhar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Shairi Baat Nahin Garm-e-suKHan Hone Ki for youth and Student by Gauhar Hoshiyarpuri. Free Download Shairi Baat Nahin Garm-e-suKHan Hone Ki in PDF.