Dard Jab Dastaras-e-chaaragaran Se Nikla

dard jab dastaras-e-chaaragaran se nikla

harf-e-inkar mohabbat ki zaban se nikla

zindagani mein sabhi rang the mahrumi ke

tujh ko dekha to main ehsas-e-ziyan se nikla

sab ba-asani mere KHwab ko paDh lete the

phir to main anjuman-e-dil-zadagan se nikla

jazba-e-ishq ne jab eDiyan apni ragDin

KHak uData hua ek dasht wahan se nikla

rozan-e-jism mein ek dard hua tha daKHil

aaKHir aaKHir main wo darwaza-e-jaan se nikla

muddaton tak meri taKHil amin thi us ki

aur ek din wo meri hadd-e-guman se nikla

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Jab Dastaras-e-chaaragaran Se Nikla In English By Famous Poet Ghalib Ayaz. Dard Jab Dastaras-e-chaaragaran Se Nikla is written by Ghalib Ayaz. Read famous Poem Dard Jab Dastaras-e-chaaragaran Se Nikla for youth and Student by Ghalib Ayaz. Free Download Dard Jab Dastaras-e-chaaragaran Se Nikla in PDF.