Jahan KHarab Sahi Hum Badan-darida Sahi

jahan KHarab sahi hum badan-darida sahi

teri talash mein nikle hain pa-burida sahi

jahan-e-sher mein meri kai riyasaten hain

main apne shahr mein gumnam o na-shunida sahi

bhale hi chhanw na de aasra to deta hai

ye aarzu ka shajar hai KHizan-rasida sahi

inhi bujhi hui aankhon mein KHwab utrenge

yaqin na chhoD ye bimar o shab-guzida sahi

dilon ko joDne wali ghazal salamat hai

talluqat hamare bhale kashida sahi

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan KHarab Sahi Hum Badan-darida Sahi In English By Famous Poet Ghalib Ayaz. Jahan KHarab Sahi Hum Badan-darida Sahi is written by Ghalib Ayaz. Read famous Poem Jahan KHarab Sahi Hum Badan-darida Sahi for youth and Student by Ghalib Ayaz. Free Download Jahan KHarab Sahi Hum Badan-darida Sahi in PDF.