Kabhi Guman Kabhi Etibar Ban Ke Raha

kabhi guman kabhi e'tibar ban ke raha

dayar-e-chashm mein wo intizar ban ke raha

hazar KHwab meri milkiyat mein shamil the

main tere ishq mein sarmaya-dar ban ke raha

tamam umr use chahna na tha mumkin

kabhi kabhi to wo is dil pe bar ban ke raha

usi ke nam karun main tamam ahd-e-KHayal

darun-e-jaan jo mere sogwar ban ke raha

agarche shahr mein mamnua thi himayat-e-KHwab

magar ye dil sabab-e-intishaar ban ke raha

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Guman Kabhi Etibar Ban Ke Raha In English By Famous Poet Ghalib Ayaz. Kabhi Guman Kabhi Etibar Ban Ke Raha is written by Ghalib Ayaz. Read famous Poem Kabhi Guman Kabhi Etibar Ban Ke Raha for youth and Student by Ghalib Ayaz. Free Download Kabhi Guman Kabhi Etibar Ban Ke Raha in PDF.