Andaz-e-fikr Ahl-e-jahan Ka Juda Raha

andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha

wo mujh se KHush rahe to zamana KHafa raha

aalam hayat ka na kabhi ek sa raha

duniya mein zindagi ka tamasha bana raha

tha har qadam pe apne azaem ka imtihan

har gam hadsat ka mahshar bapa raha

phulon ki ahd gul mein tijarat to KHub ki

puchhe koi ki daman-e-gulchin mein kya raha

bar-e-garan tha mere liye arsa-e-hayat

jine ka tere gham se bahut hausla raha

har fikr har amal ka hai niyyat pe inhisar

shaiKH-e-haram bhi banda-e-hirs-o-hawa raha

duniya amal ki rah mein aage nikal gai

zahid to KHanqah mein mahw-e-dua raha

hum lakh muskurae tabassum ki oT se

soz-e-gham-e-hayat magar jhankta raha

'ejaz' ahl-e-jaur se nafrat rahi unhen

har zulm un ki bazm mein lekin rawa raha

(1245) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andaz-e-fikr Ahl-e-jahan Ka Juda Raha In English By Famous Poet Ghani Ejaz. Andaz-e-fikr Ahl-e-jahan Ka Juda Raha is written by Ghani Ejaz. Read famous Poem Andaz-e-fikr Ahl-e-jahan Ka Juda Raha for youth and Student by Ghani Ejaz. Free Download Andaz-e-fikr Ahl-e-jahan Ka Juda Raha in PDF.