Bazm-e-alam Mein Sada Hum Bhi Nahin Tum Bhi Nahin

bazm-e-alam mein sada hum bhi nahin tum bhi nahin

munkir-e-roz-e-jaza tum bhi nahin hum bhi nahin

sar-phiri tund hawa hum bhi nahin tum bhi nahin

mulk-dushman ba-KHuda hum bhi nahin tum bhi nahin

kis ke ima pe hai ye KHun-KHaraba ye fasad

qail-e-jaur-o-jafa hum bhi nahin tum bhi nahin

jaan aapas ki burai mein ganwa den apni

is qadar KHud se KHafa hum bhi nahin tum bhi nahin

hum ko dastur ne baKHshe hain barabar ke huquq

koi kamtar na siwa hum bhi nahin tum bhi nahin

jazb hai KHak-e-watan mein jo buzurgon ka lahu

is ki miTTi se juda hum bhi nahin tum bhi nahin

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-alam Mein Sada Hum Bhi Nahin Tum Bhi Nahin In English By Famous Poet Ghani Ejaz. Bazm-e-alam Mein Sada Hum Bhi Nahin Tum Bhi Nahin is written by Ghani Ejaz. Read famous Poem Bazm-e-alam Mein Sada Hum Bhi Nahin Tum Bhi Nahin for youth and Student by Ghani Ejaz. Free Download Bazm-e-alam Mein Sada Hum Bhi Nahin Tum Bhi Nahin in PDF.