Bewafa Ke Wade Par Eatibar Karte Hain

bewafa ke wade par eatibar karte hain

wo na aaega phir bhi intizar karte hain

log ab mohabbat mein karobar karte hain

dil bacha ke rakhte hain jaan shikar karte hain

ishraten jahan-bhar ki bas unhin ka hissa hai

jo rawish zamane ki iKHtiyar karte hain

shaKHsiyat mein jhanken to aur hi tamasha hai

baaten jo nasihat ki be-shumar karte hain

apne dam-qadam se to dasht bhi gulistan hai

hum jo KHarzaron ko lala-zar karte hain

jaan se guzarte hain be-KHudi mein ahl-e-dil

wo jo chashm-e-pur-fan ko zulfiqar karte hain

hon shagufe shaKHon ke ya lawen charaghon ki

sab hawa ke daman par inhisar karte hain

hum kahan ke dana hain kis hunar mein yakta hain

log phir bhi jaane kyun hum se pyar karte hain

jis jagah pe KHadsha ho pair ke phisalne ka

hum qadam wahin 'ejaz' ustuwar karte hain

(1290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bewafa Ke Wade Par Eatibar Karte Hain In English By Famous Poet Ghani Ejaz. Bewafa Ke Wade Par Eatibar Karte Hain is written by Ghani Ejaz. Read famous Poem Bewafa Ke Wade Par Eatibar Karte Hain for youth and Student by Ghani Ejaz. Free Download Bewafa Ke Wade Par Eatibar Karte Hain in PDF.