Ab To KHud Se Bhi Kuchh Aisa Hai Bashar Ka Rishta

ab to KHud se bhi kuchh aisa hai bashar ka rishta

jaise parwaz se TuTe hue par ka rishta

koi khiDki bhi nahin ab to jo baqi rakhti

mere ghar se mere ham-sae ke ghar ka rishta

tum farishte hi sahi nazren na badlo yaro

kya farishton se nahin koi bashar ka rishta

moD aane do abhi samne aa jaega

kya hai aapas mein sharikan-e-safar ka rishta

tu mere chaak-gareban ko naya suraj de

joD jaun main dhundlakon se sahar ka rishta

mere hathon ki lakiren ye batati hain mujhe

pattharon hi se rahega mere sar ka rishta

sab ke chehron ki KHarashen hain nazar mein 'ghausi'

aainon se hai dil-e-aina-gar ka rishta

(533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To KHud Se Bhi Kuchh Aisa Hai Bashar Ka Rishta In English By Famous Poet Ghaus Mohammad Ghausi. Ab To KHud Se Bhi Kuchh Aisa Hai Bashar Ka Rishta is written by Ghaus Mohammad Ghausi. Read famous Poem Ab To KHud Se Bhi Kuchh Aisa Hai Bashar Ka Rishta for youth and Student by Ghaus Mohammad Ghausi. Free Download Ab To KHud Se Bhi Kuchh Aisa Hai Bashar Ka Rishta in PDF.