Humne Jab Chaha Koi Aag Bujhane Aae

hum ne jab chaha koi aag bujhane aae

aae to log magar dil ko jalane aae

kuchh asar hota nahin bazm-e-tarab ka dil par

dard ka git koi aaj sunane aae

ras jab aa na saka shahr-e-KHirad ka mahaul

wusat-e-dasht-o-bayaban mein diwane aae

bhagi jati hai ye duniya nai raunaq ki taraf

shahr hai ujDa hua kaun basane aae

aaj tak jin ko nahin rah-e-sadaqat ki KHabar

haqq-o-baatil ka wahi farq batane aae

kyun kisi ghair pe ilzam main rakhta 'anjum'

mere apne wo sabhi the jo rulane aae

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Jab Chaha Koi Aag Bujhane Aae In English By Famous Poet Ghayas Anjum. Humne Jab Chaha Koi Aag Bujhane Aae is written by Ghayas Anjum. Read famous Poem Humne Jab Chaha Koi Aag Bujhane Aae for youth and Student by Ghayas Anjum. Free Download Humne Jab Chaha Koi Aag Bujhane Aae in PDF.