KHasare Mein Rahe Lekin Na ChhoDi Sadgi Humne

KHasare mein rahe lekin na chhoDi sadgi hum ne

ba-har-surat nibhai dushmanon se dosti hum ne

salaf the jo hamare misl-e-KHurshid-o-mah-o-anjum

unhi ke raste pe chal ke pai raushni hum ne

adab ke daere ko de di wusat sare aalam ki

ki us ki aabiyari ki barae zindagi hum ne

jahan walo na mano tum magar sach hai ki duniya mein

baDhaya hai tah-e-KHanjar waqar-e-ashiqi hum ne

yahan sach bolne par zahr ka pyala hi milta hai

ajab rasm-e-sitam dekhi hai tere shahr ki hum ne

wasael jab ki sare ho chuke the be-asar 'anjum'

charagh-e-dil jala kar dur ki hai tirgi hum ne

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHasare Mein Rahe Lekin Na ChhoDi Sadgi Humne In English By Famous Poet Ghayas Anjum. KHasare Mein Rahe Lekin Na ChhoDi Sadgi Humne is written by Ghayas Anjum. Read famous Poem KHasare Mein Rahe Lekin Na ChhoDi Sadgi Humne for youth and Student by Ghayas Anjum. Free Download KHasare Mein Rahe Lekin Na ChhoDi Sadgi Humne in PDF.