Pahunch Kar Shab Ki Sarhad Par Ujala Dub Jata Hai

pahunch kar shab ki sarhad par ujala Dub jata hai

na ho jis ka koi wo be-sahaara Dub jata hai

jise gata hai koi barabt-e-sad-chaak-daman par

faza-e-be-yaqini mein wo naghma Dub jata hai

yahan to dil ki baaten hain hamara tajraba hai ye

jo sath-e-ab par rakhiye to paisa Dub jata hai

talluq der se mazbut karta hai jaDen apni

zara si chuk se sadiyon ka rishta Dub jata hai

teri yaadon ki duniya se kabhi jo dur hota hun

udasi gher leti hai nazara Dub jata hai

na jaane kya ho tere shahr mein ab ja ke dekhunga

yahan to apni qismat ka sitara Dub jata hai

ubal paDta hai aafat ka kahin lawa to phir 'anjum'

gham-o-andoh mein masum chehra Dub jata hai

(625) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahunch Kar Shab Ki Sarhad Par Ujala Dub Jata Hai In English By Famous Poet Ghayas Anjum. Pahunch Kar Shab Ki Sarhad Par Ujala Dub Jata Hai is written by Ghayas Anjum. Read famous Poem Pahunch Kar Shab Ki Sarhad Par Ujala Dub Jata Hai for youth and Student by Ghayas Anjum. Free Download Pahunch Kar Shab Ki Sarhad Par Ujala Dub Jata Hai in PDF.