Jazire Hon Ki Wo Sahra Hon KHwab Hona Hai

jazire hon ki wo sahra hon KHwab hona hai

samundaron ko kisi din sarab hona hai

sawal puchhne walo tumhein bhi aaKHir-e-kar

rahin-e-minnat-e-bar-e-jawab hona hai

khanDar mein baiTh ke rone ki KHu nahin jati

tumhaari aankh pe shayad azab hona hai

wo zulmaten jo ujalon ke ghar mein rahti hain

unhen bhi misl-e-sahr be-naqab hona hai

wo din jo nili kitabon mein band hai us ko

abhi to mere liye be-hijab hona hai

abhi to KHwahish-e-be-dast-o-pa salamat hai

abhi kuchh aur ye KHana-KHarab hona hai

ye shaKH shaKH parinde pukarte hain 'matin'

hamein to shaKH se gir kar gulab hona hai

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazire Hon Ki Wo Sahra Hon KHwab Hona Hai In English By Famous Poet Ghayas Mateen. Jazire Hon Ki Wo Sahra Hon KHwab Hona Hai is written by Ghayas Mateen. Read famous Poem Jazire Hon Ki Wo Sahra Hon KHwab Hona Hai for youth and Student by Ghayas Mateen. Free Download Jazire Hon Ki Wo Sahra Hon KHwab Hona Hai in PDF.