KHwab Aankhon Ki Gali ChhoD Ke Jaane Nikle

KHwab aankhon ki gali chhoD ke jaane nikle

hum idhar nind ki diwar girane nikle

dhul raste ka muqaddar hai to rasta kya hai

bas yahi baat zamane ko batane nikle

jab pahaDon se mili dad hunar ki apne

dastan hum bhi samundar ko sunane nikle

rang se rang juda hone ka manzar dekha

tirgi aur shafaq sirf bahane nikle

jab samundar pe chale hum to ye sahra chup the

ab pahaDi pe khaDe hain to bulane nikle

aasman jis ki zamin hai wo parinda hun main

jaane kyun log yahan dam bichhane nikle

koi chehra na de aawaz kisi lau se 'matin'

sham hote hi charaghon ko bujhane nikle

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Aankhon Ki Gali ChhoD Ke Jaane Nikle In English By Famous Poet Ghayas Mateen. KHwab Aankhon Ki Gali ChhoD Ke Jaane Nikle is written by Ghayas Mateen. Read famous Poem KHwab Aankhon Ki Gali ChhoD Ke Jaane Nikle for youth and Student by Ghayas Mateen. Free Download KHwab Aankhon Ki Gali ChhoD Ke Jaane Nikle in PDF.