Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat Bhi Bahut Hai

be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai

is dasht mein gardab ki surat bhi bahut hai

aankhen jo liye phirta hun ai KHwab-e-musalsal!

mere liye ye kar-e-aziyyat bhi bahut hai

tum zad-e-safar itna uThaoge kahan tak

asbab mein ek ranj-e-masafat bhi bahut hai

do sans bhi ho jaen baham habs-e-badan mein

ai umr-e-rawan! itni karamat bhi bahut hai

kuchh ujrat-e-hasti bhi nahin apne mutabiq

kuchh kar-e-tanaffus mein mashaqqat bhi bahut hai

ab maut mujhe mar ke kya degi 'ghazanfar'

aankhon ko to ye aalam-e-hairat bhi bahut hai

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat Bhi Bahut Hai In English By Famous Poet Ghazanfar Hashmi. Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat Bhi Bahut Hai is written by Ghazanfar Hashmi. Read famous Poem Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat Bhi Bahut Hai for youth and Student by Ghazanfar Hashmi. Free Download Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat Bhi Bahut Hai in PDF.