Kisi Ke Narm TaKHatub Pe Yun Laga Mujhko

kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujh ko

ki jaise sare masail ka hal mila mujh ko

kisi maqam pe wo bhi bichhaD gai mujh se

nigah-e-shauq jo deti thi hausla mujh ko

ki ham-safar ko samajhne laga KHizar apna

zaruraton ne kuchh aisa safar diya mujh ko

tamam log hi dushman dikhai dete hain

koi batae ki aaKHir ye kya hua mujh ko

main teri car ka ukhDa hua koi purza

sukun talab hai to meri jagah pe la mujh ko

mera wajud bhi qaqnus se kam nahin hai miyan

yaqin na aae to puri tarah jala mujh ko

main aisa narm tabiat kabhi na tha pahle

zarur lams koi us ka chhu gaya mujh ko

main chah kar bhi tujhe qatl kar na paunga

ye kis ka de diya tu ne bhi wasta mujh ko

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Narm TaKHatub Pe Yun Laga Mujhko In English By Famous Poet Ghazanfar. Kisi Ke Narm TaKHatub Pe Yun Laga Mujhko is written by Ghazanfar. Read famous Poem Kisi Ke Narm TaKHatub Pe Yun Laga Mujhko for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Kisi Ke Narm TaKHatub Pe Yun Laga Mujhko in PDF.