Rafta Rafta Aankhon Ko Hairani De Kar Jaega

rafta rafta aankhon ko hairani de kar jaega

KHwabon ka ye shauq hamein virani de kar jaega

dekh ke sar par gahra baadal KHushk nigahen kahti hain

aaj hamein ye abr yaqinan pani de kar jaega

kuchh Thahraw to be-shak us se mere ghar mein aaya hai

lekin ek din mujh ko wo tughyani de kar jaega

aaega to ek do pal mehman rahega aankhon mein

jaega to ek qissa tulani de kar jaega

kaghaz ke ye phul bhi apne chehron ko faq paenge

ab ke mausam in ko bhi hairani de kar jaega

KHush-manzar pe aankh jamae baiThe hain ki lagta hai

rang koi be-rang nazar ko dhani de kar jaega

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rafta Rafta Aankhon Ko Hairani De Kar Jaega In English By Famous Poet Ghazanfar. Rafta Rafta Aankhon Ko Hairani De Kar Jaega is written by Ghazanfar. Read famous Poem Rafta Rafta Aankhon Ko Hairani De Kar Jaega for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Rafta Rafta Aankhon Ko Hairani De Kar Jaega in PDF.