Saman-e-aish Sara Hamein Yun Tu De Gaya

saman-e-aish sara hamein yun tu de gaya

lekin hamare munh se zaban kaT le gaya

daftar mein zehn ghar nigah raste mein panw

jine ki kawishon mein badan hath se gaya

sine se aag aankh se pani ragon se KHun

ek shaKHs hum se chhin ke kya kya na le gaya

lab par sukut dil mein udasi nazar mein KHauf

mera uruj mujh ko ye saughat de gaya

KHwabon ka ek tilism bacha tha dimagh mein

ab ke baras ise bhi koi toD le gaya

phunkarta hua mujhe ek azhdaha mila

jab bhi kisi KHazane ka dar kholne gaya

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saman-e-aish Sara Hamein Yun Tu De Gaya In English By Famous Poet Ghazanfar. Saman-e-aish Sara Hamein Yun Tu De Gaya is written by Ghazanfar. Read famous Poem Saman-e-aish Sara Hamein Yun Tu De Gaya for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Saman-e-aish Sara Hamein Yun Tu De Gaya in PDF.