Tariki Mein Nur Ka Manzar Suraj Mein Shab Dekhoge

tariki mein nur ka manzar suraj mein shab dekhoge

jis din tum aankhen khologe duniya ko jab dekhoge

dhire dhire har jaanib sannaTa sa chha jaega

so jaengi rafta rafta aawazen sab dekhoge

khambe sare TuT chuke hain chhappar girne wala hai

buniyaadon par jine walo upar tum kab dekhoge

shayad tum bhi mere jaise ho jaoge aankhon se

sahme chehre gung zabanen zard badan jab dekhoge

wo to bazigar hain un ka maqsad khel dikhana hai

tum to farzane ho sahib kab tak kartab dekhoge

pahle to sarsabz rahoge phir pile paD jaoge

jis din tum bhi rang-nagar mein surKH koi lab dekhoge

baiThe baiThe ghar mein yun hi pal pal ghuT ghuT marna hai

ya nikaloge ghar aangan se jine ka Dhab dekhoge

kal tak jo shaffaf the chehre aawazon se KHali the

aaDi-tirchhi surKH lakiren un par bhi ab dekhoge

khambe to ye gaD chuke hain rassi bhi ab tanenge

ye bhi khel hi khulenge in ke bhi kartab dekhoge

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tariki Mein Nur Ka Manzar Suraj Mein Shab Dekhoge In English By Famous Poet Ghazanfar. Tariki Mein Nur Ka Manzar Suraj Mein Shab Dekhoge is written by Ghazanfar. Read famous Poem Tariki Mein Nur Ka Manzar Suraj Mein Shab Dekhoge for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Tariki Mein Nur Ka Manzar Suraj Mein Shab Dekhoge in PDF.