Jalwa-e-husn Agar Zinat-e-kashana Bane

jalwa-e-husn agar zinat-e-kashana bane

dastaras shama ko hasil ho to parwana bane

dil na hoshiyar rahe aur na diwana bane

ye tamanna hai ki KHak dar-e-jaanana bane

husn ai husn ye hai teri karishma-sazi

kaba ban jae kahin aur kahin but-KHana bane

hosh aur kashmakash-e-hosh ilahi tauba

wahi hoshiyar hai ulfat mein jo diwana bane

is tamanna se main ai ishq KHajil hota hun

dil ki taqdir ki wo husn ka nazrana bane

husn mahsus se hai jalwa-e-mutlaq matlub

na sahi kaba to dil-e-mail but-KHana bane

mai-parasti ka muayyan koi mear nahin

jis ka jo zarf ho saqi wahi paimana bane

un ki sarshaar nigahon ke tasadduq kahiye

hasil-e-kaif jo paimana-ba-paimana bane

soz ulfat ke KHuda shama nahin hai na sahi

phunk itna meri hasti ko ki parwana bane

saghar-e-dil mein hai kaifiyyat-e-sahba-e-alast

bund bund us ki na kyun hasil-e-mai-KHana bane

aap ek roz tawajjoh se jo sun len sar-e-bazm

dil ki rudad ka har lafz ek afsana bane

aaj mujh ko wo mai-e-hosh-ruba de saqi

aur to aur dil apne se bhi begana bane

kash miT miT ke meri hasti-e-nachiz 'ghubar'

KHak ho jae to KHak-e-dar-e-jaanana bane

(1012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwa-e-husn Agar Zinat-e-kashana Bane In English By Famous Poet Ghubaar Bhatti. Jalwa-e-husn Agar Zinat-e-kashana Bane is written by Ghubaar Bhatti. Read famous Poem Jalwa-e-husn Agar Zinat-e-kashana Bane for youth and Student by Ghubaar Bhatti. Free Download Jalwa-e-husn Agar Zinat-e-kashana Bane in PDF.