Ajab Inqalab Ka Daur Hai Ki Har Ek Samt Fishaar Hai

ajab inqalab ka daur hai ki har ek samt fishaar hai

na kahin KHirad ko sukun hai na kahin junun ko qarar hai

kahin garm bazm-e-habib hai kahin sard mahfil-e-yar hai

kahin ibtida-e-surur hai kahin intiha-e-KHumar hai

mera dil hai sine mein raushni isi raushni pe madar hai

main musafir-e-rah-e-ishq hun to ye shama rah-guzar hai

jise kahte hain teri anjuman ajab anjuman hai ye anjuman

koi is mein soKHta-haal hai koi is mein sina-figar hai

ye asar hai ek nigah ka ki mizaj-e-taba badal diya

jo hamesha shikwa-guzar tha wo tumhaara shukr-guzar hai

ye zaruri kya hai ki har bashar rahe nam-o-kaam se ba-KHabar

magar itna jaan chuke hain sab ki taKHallus us ka 'ghubar' hai

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Inqalab Ka Daur Hai Ki Har Ek Samt Fishaar Hai In English By Famous Poet Ghubaar Bhatti. Ajab Inqalab Ka Daur Hai Ki Har Ek Samt Fishaar Hai is written by Ghubaar Bhatti. Read famous Poem Ajab Inqalab Ka Daur Hai Ki Har Ek Samt Fishaar Hai for youth and Student by Ghubaar Bhatti. Free Download Ajab Inqalab Ka Daur Hai Ki Har Ek Samt Fishaar Hai in PDF.