Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai

mujhe kis tarah se na ho yaqin ki use KHizan se gurez hai

jo nasim-e-subh-e-bahaar ko mere gulsitan se gurez hai

ye ubudiyat ka hai iqtiza ki usi pe KHam ho meri jabin

ye ghalat kisi ne hai kah diya tere aastan se gurez hai

hai ajib qism ki bad-zani mujhe us ki koi KHabar nahin

gul-o-KHar ko bhi bahaar mein mere gulsitan se gurez hai

kuchh ajab nahin jo qadam qadam mere rahbar hi hon rahzan

nahin muttafiq koi fard jab mujhe karwan se gurez hai

mere dagh-e-dil ki hi tabishen hain jamal-baKHsh dil-o-nazar

yahi baat hai ki tamam shab mujhe kahkashan se gurez hai

ye shakeb se nahin aashna ise kuchh wafa se gharaz nahin

yahi raaz hai yahi wajh hai jo dil-e-tapan se gurez hai

hai talash-e-wusat-e-la-makan ki jahan pe kuchh ho sukun-e-dil

ho jahan bhi bandish-e-ab-o-gul mujhe us makan se gurez hai

ye tazad-e-ishq 'ghubar' hai koi kis tarah se samajh sake

kabhi pa-e-baz pe sar hai KHam kabhi aastan se gurez hai

(656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai In English By Famous Poet Ghubaar Bhatti. Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai is written by Ghubaar Bhatti. Read famous Poem Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai for youth and Student by Ghubaar Bhatti. Free Download Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai in PDF.