Tasalli Ko Hamari Baghban Kuchh Aur Kahta Hai

tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai

gulistan se magar uDta dhuan kuchh aur kahta hai

baham kuchh sazishen phir ho rahi hain barq-o-baran mein

har ek tair se lekin aashiyan kuchh aur kahta hai

samajhte hain KHuda-malum kya kuchh karwan wale

zaban mein apni mir-e-karwan kuchh aur kahta hai

na phulo is tarah se naghma-e-murgh-e-KHush-ilhan par

tumhein aawaza-e-bang-e-azan kuchh aur kahta hai

magar mahrum zahid ho gaya hai gosh-e-shanwa se

use but-KHane mein husn-e-butan kuchh aur kahta hai

ye KHush-fahmi ki kuchh samjhe hue hain anjuman wale

magar har ek se rang-e-dastan kuchh aur kahta hai

Thahar ja han Thahar ja jaane wale is ko sunta ja

ba-haal-e-naza tera nim-jaan kuchh aur kahta hai

muKHalif us ke kuchh kuchh aa rahi hain dil ki aawazen

magar hum se hijab-e-darmiyan kuchh aur kahta hai

na rahna chahiye gulshan mein marub-e-KHizan ho kar

ki hum se aaj rang-e-gulistan kuchh aur kahta hai

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasalli Ko Hamari Baghban Kuchh Aur Kahta Hai In English By Famous Poet Ghubaar Bhatti. Tasalli Ko Hamari Baghban Kuchh Aur Kahta Hai is written by Ghubaar Bhatti. Read famous Poem Tasalli Ko Hamari Baghban Kuchh Aur Kahta Hai for youth and Student by Ghubaar Bhatti. Free Download Tasalli Ko Hamari Baghban Kuchh Aur Kahta Hai in PDF.