Zaban Sakit Ho Qat-e-guftugu Ho

zaban sakit ho qat-e-guftugu ho

nazar hi se bayan-e-arzu ho

jahan main hun wahan par tu hi tu ho

jahan tu ho jahan-e-rang-o-bu ho

shahid-e-naz yun hi surKH-ru ho

shafaq munh par ho daman par lahu ho

wafur-e-yas o josh-e-ibtila mein

zaban par aayat-e-la-taqnatu ho

jo rang-e-gul se Tapka hai chaman mein

na meri hi tamanna ka lahu ho

harim-kaba se bhi mohtaram hai

wo dil jis mein ki teri aarzu ho

maaz-allah pas-manzar chaman ka

na ai dil yun asir-e-rang-o-bu ho

namaz-e-ishq kuchh aasan nahin hai

jigar ke KHun se pahle to wuzu ho

hun KHar-e-rah tak gulshan-ba-daman

agar tu hi maal-e-justuju ho

'ghubar'-e-KHasta us kuche se uTh kar

na kyun aawara har su ku-ba-ku ho

(605) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Sakit Ho Qat-e-guftugu Ho In English By Famous Poet Ghubaar Bhatti. Zaban Sakit Ho Qat-e-guftugu Ho is written by Ghubaar Bhatti. Read famous Poem Zaban Sakit Ho Qat-e-guftugu Ho for youth and Student by Ghubaar Bhatti. Free Download Zaban Sakit Ho Qat-e-guftugu Ho in PDF.