Dastan-e-dard-e-dil Ahl-e-wafa Kahne Lage

dastan-e-dard-e-dil ahl-e-wafa kahne lage

yani har aawaz ko teri sada kahne lage

lijiye phir toD di yaron ne zanjir-e-sukut

lijiye hum zindagi ka marsiya kahne lage

ye bhi apni tang-nazari ki hai ek wazeh dalil

hum jo har chehre ko ab ek aaina kahne lage

phir nai tahzib ka ek bab raushan ho gaya

log phir ab dastan-e-irtiqa kahne lage

itni aawara-mizaji bhi 'ayaz' achchhi nahin

dekh tere bare mein ab log kya kahne lage

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastan-e-dard-e-dil Ahl-e-wafa Kahne Lage In English By Famous Poet Ghulam Husain Ayaz. Dastan-e-dard-e-dil Ahl-e-wafa Kahne Lage is written by Ghulam Husain Ayaz. Read famous Poem Dastan-e-dard-e-dil Ahl-e-wafa Kahne Lage for youth and Student by Ghulam Husain Ayaz. Free Download Dastan-e-dard-e-dil Ahl-e-wafa Kahne Lage in PDF.