Fasil-e-jism Ki Unchai Se Utar Jaen

fasil-e-jism ki unchai se utar jaen

to is KHarabe se hum log phir kidhar jaen

hawa batati hai guzrega karwan koi

kuchh aur der isi rah par Thahar jaen

tamam din to lahu chaTta raha suraj

hui hai sham chalo apne apne ghar jaen

kabhi to koi lahu ke diye jalaega

chalo nishan-e-qadam apna chhoD kar jaen

abhi sada na do kuchh der aur suraj ko

ye jitni sukhi hui naddiyan hain bhar jaen

ye shash-jihat to bas ek naqsh-e-pa ka waqfa hai

tumhin batao kahan aa ke hum Thahar jaen

'ayaz' hum ko na apna saki kabhi duniya

wahi sada hai taaqub mein hum jidhar jaen

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasil-e-jism Ki Unchai Se Utar Jaen In English By Famous Poet Ghulam Husain Ayaz. Fasil-e-jism Ki Unchai Se Utar Jaen is written by Ghulam Husain Ayaz. Read famous Poem Fasil-e-jism Ki Unchai Se Utar Jaen for youth and Student by Ghulam Husain Ayaz. Free Download Fasil-e-jism Ki Unchai Se Utar Jaen in PDF.