Aaj Aaine Mein Jo Kuchh Bhi Nazar Aata Hai

aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai

us ke hone pe yaqin bar-e-digar aata hai

zehn o dil karta hun jab ranj-e-jahan se KHali

koi be-tarah meri ruh mein dar aata hai

guftugu karte hue jate hain phulon ke giroh

aur chupke se daraKHton pe samar aata hai

bach nikalne pe mere KHush nahin wo jaan-e-bahaar

koi ilzam mukarrar mere sar aata hai

lauT jaane ki ijazat nahin dunga us ko

koi ab mere taaqub mein agar aata hai

meri aanhken bhi mayassar nahin aatin mujh ko

jab mulaqat ko wo KHwab-e-sahar aata hai

meri qismat hai ye aawara-KHirami 'sajid'

dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai

(1301) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Aaine Mein Jo Kuchh Bhi Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Aaj Aaine Mein Jo Kuchh Bhi Nazar Aata Hai is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Aaj Aaine Mein Jo Kuchh Bhi Nazar Aata Hai for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Aaj Aaine Mein Jo Kuchh Bhi Nazar Aata Hai in PDF.