Ek Ghar Apne Liye Tayyar Karna Hai Mujhe

ek ghar apne liye tayyar karna hai mujhe

aur ek basti ko bhi mismar karna hai mujhe

is andhere mein chhupana hai koi dushman magar

is ujale mein kisi par war karna hai mujhe

ek naddi ke kinare par Thaharne ke liye

sham hone tak ye dariya par karna hai mujhe

DhunD laya hun KHushi ki chhanw jis ke waste

ek gham se bhi use do-chaar karna hai mujhe

bhandhni hai aaKHiri ek chaal se sari bisat

aur us ka daw bhi be-kar karna hai mujhe

kis samundar mein utarna hai paDaw ke liye

kis nagar ko ab gale ka haar karna hai mujhe

ek KHwahish hai jo shayad umr bhar puri na ho

ek sapne se hamesha pyar karna hai mujhe

ek jhonke ko rawan rakhna hai sehn-e-bagh mein

ek gul ko shamil-e-guftar karna hai mujhe

ek an-jaani sada ki khoj mein chalte hue

ek mubham rabt ko diwar karna hai mujhe

(1227) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ghar Apne Liye Tayyar Karna Hai Mujhe In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Ek Ghar Apne Liye Tayyar Karna Hai Mujhe is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Ek Ghar Apne Liye Tayyar Karna Hai Mujhe for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Ek Ghar Apne Liye Tayyar Karna Hai Mujhe in PDF.