Dast-e-rahat Ne Kabhi Ranj-e-giran-bari Ne

dast-e-rahat ne kabhi ranj-e-giran-bari ne

kar diya KHatm mujhe ishq ki bimari ne

ras aai hai na aaegi ye duniya lekin

rok rakkha hai mujhe kuch ki tayyari ne

harf us paikar-e-gul par na tha aane wala

us ko sharminda kiya rasm-e-dil-azari ne

yunhi KHushbu se moattar nahin sansen meri

zulf lahrai hai aangan mein kisi pyari ne

hath kya aaega ab jang ko jari rakh kar

faisla kar bhi diya shah ki giraftari ne

qarya-e-KHak se nisbat ki thi KHwahish kis ko

mujh ko zanjir kiya us ki taraf-dari ne

KHush nahin aaya mujhe bagh-e-adan bhi 'sajid'

mar Dala hai mujhe phir meri hushyari ne

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dast-e-rahat Ne Kabhi Ranj-e-giran-bari Ne In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Dast-e-rahat Ne Kabhi Ranj-e-giran-bari Ne is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Dast-e-rahat Ne Kabhi Ranj-e-giran-bari Ne for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Dast-e-rahat Ne Kabhi Ranj-e-giran-bari Ne in PDF.