Charagh-e-KHana-e-dil Ko Supurd-e-baad Kar Dun

charagh-e-KHana-e-dil ko supurd-e-baad kar dun

ye qaidi bhi kisi ke nam par aazad kar dun

bahut hum se gurezan ye zamin o aasman hain

ijazat ho to ek duniya nai aabaad kar dun

jidhar niklun sawad-e-hijr hi ka samna hai

koi surat yahan bhi wasl ki ijad kar dun

mere mayus rahne par agar wo shadman hai

to kyun KHud ko main us ke waste barbaad kar dun

bahut chehre nigahon mein ubharte Dubte hain

agar kuchh der ko raushan charagh-e-yaad kar dun

bahut din se musir is baat par wo mehrban hai

ki main dil ko rahin-e-sohbat-e-na-shad kar dun

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-KHana-e-dil Ko Supurd-e-baad Kar Dun In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Charagh-e-KHana-e-dil Ko Supurd-e-baad Kar Dun is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Charagh-e-KHana-e-dil Ko Supurd-e-baad Kar Dun for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Charagh-e-KHana-e-dil Ko Supurd-e-baad Kar Dun in PDF.