Charagh Ki OT Mein Ruka Hai Jo Ek Hayula Sa Yasmin Ka

charagh ki oT mein ruka hai jo ek hayula sa yasmin ka

ye rang hai aur aasman ka ye phul hai aur hi zamin ka

mere irade pe munhasir hai ye dhup aur chhanw ka Thaharna

ki ek saat kisi guman ki hai ek lamha kisi yaqin ka

mujhe yaqin hai zamin apne madar par ghumti rahegi

ki ab sitaron ke paniyon mein bhi aks hai KHak ke makin ka

main jin ke ham-rah chal raha hun wo sab isi KHak ki numu hain

magar jo mere wajud mein hai wo KHwab hai aur hi kahin ka

jo mere KHun mein bhaDak rahi hai wo mishal-e-KHwab hai kahan ki

jo meri aankhon mein bas gaya hai wo chand hai kaun si jabin ka

main raat ke ghaT par utar kar kisi sitare mein Dub jata

magar mere ru-ba-ru dhara hai ye aaina subh-e-nilmin ka

so ab ye jiwan ki naw shayad kisi kinare se ja lagegi

ki ab to pani ki sath par bhi guman hone laga zamin ka

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Ki OT Mein Ruka Hai Jo Ek Hayula Sa Yasmin Ka In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Charagh Ki OT Mein Ruka Hai Jo Ek Hayula Sa Yasmin Ka is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Charagh Ki OT Mein Ruka Hai Jo Ek Hayula Sa Yasmin Ka for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Charagh Ki OT Mein Ruka Hai Jo Ek Hayula Sa Yasmin Ka in PDF.