Charagh Ki OT Mein Hai Mehrab Par Sitara

charagh ki oT mein hai mehrab par sitara

ruka hua hai abhi gul-e-KHwab par sitara

ye kis rawani mein Dubti ja rahi hain aankhen

chamak raha hai ye kyun ruKH-e-ab par sitara

ruki hui hai zamin pani ke mintaqe par

Thahar gaya hai nigah-e-betab par sitara

kahin meri dhup ki hukumat hai aaine par

jhuka hua hai kahin zar-e-ab par sitara

muhit mein ghumte rahenge agar safine

siyah paDne lagega girdab par sitara

suna tha is raat ke muqabil bhi aaina hai

magar dikhai diya hai mahtab par sitara

main hun kisi raat ki siyahi ka rizq lekin

talash karta hun ru-e-ahbab par sitara

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Ki OT Mein Hai Mehrab Par Sitara In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Charagh Ki OT Mein Hai Mehrab Par Sitara is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Charagh Ki OT Mein Hai Mehrab Par Sitara for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Charagh Ki OT Mein Hai Mehrab Par Sitara in PDF.