Apne Apne Lahu Ki Udasi Liye Sari Galiyon Se Bachche PalaT Aaenge

apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palaT aaenge

dhup ki garm chadar simaTte hi phir ye sunahri parinde palaT aaenge

sham aai hai aur saaton ke qadam paniyon ki rawani mein rukne lage

kaun kahta hai in baadalon se pare aasman par sitare palaT aaenge

ye dariche isi tarah raushan rahen aur gulabon ki KHushbu salamat rahe

phir isi chhanw mein sans lene ko hum apne apne gharon se palaT aaenge

hum musafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr hum koi bachche nahin

jo abhi aansuon mein naha kar gae aur abhi muskuraate palaT aaenge

phir unhi zard peDon ke nange badan shoala-e-naKHl se rakh hone lage

main to samjha tha mausam badalte hi phir Daliyon par wo patte palaT aaenge

ye safine jo ek lahr ke waste apne apne bahaw mein bahne lage

ek adhuri masafat ki taswir mein phir koi rang bharne palaT aaenge

ek din yaad aaunga 'sajid' use umr ki be-karani mein main bhi kahin

sham aaegi aur mere aangan mein bhi in daraKHton ke sae palaT aaenge

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Apne Lahu Ki Udasi Liye Sari Galiyon Se Bachche PalaT Aaenge In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Apne Apne Lahu Ki Udasi Liye Sari Galiyon Se Bachche PalaT Aaenge is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Apne Apne Lahu Ki Udasi Liye Sari Galiyon Se Bachche PalaT Aaenge for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Apne Apne Lahu Ki Udasi Liye Sari Galiyon Se Bachche PalaT Aaenge in PDF.