Mere Najm-e-KHwab Ke Ru-ba-ru Koi Shai Nahin Mere Dhang Ki

mere najm-e-KHwab ke ru-ba-ru koi shai nahin mere Dhang ki

ye falak hai kisht-e-ghubar sa ye zamin hai pani ke rang ki

kisi sham mere jilau mein tha koi KHwab wusat-e-shahr ka

kisi subh mere wajud par ye zamin logon ne tang ki

meri be-kali ka subut hai meri shama-e-KHwab ke samne

koi garm mauj guman ki koi sard lahr umang ki

mere aasman ke liye na tha koi phul aatish-e-subh ka

so mere lahu ke charagh ne kai sard raaton se jang ki

mere KHak-dan ki sipar to hai kisi mauj-e-tez se aaina

mere KHwab-e-satez ki tegh par wahi ta damakti hai zang ki

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Najm-e-KHwab Ke Ru-ba-ru Koi Shai Nahin Mere Dhang Ki In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Mere Najm-e-KHwab Ke Ru-ba-ru Koi Shai Nahin Mere Dhang Ki is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Mere Najm-e-KHwab Ke Ru-ba-ru Koi Shai Nahin Mere Dhang Ki for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Mere Najm-e-KHwab Ke Ru-ba-ru Koi Shai Nahin Mere Dhang Ki in PDF.