Meri Subh-e-KHwab Ke Shahr Par Yahi Ek Jawaz Hai Jabr Ka

meri subh-e-KHwab ke shahr par yahi ek jawaz hai jabr ka

ki mere wajud ke bagh mein abhi koi phul hai sabr ka

kisi baadban ki oT mein kahin aasman ke samne

ye ziya hai mishal-e-KHwab ki ki koi charagh hai abr ka

kisi subh KHwahish-e-marg se bhi numud pati hai zindagi

kisi sham apne wajud par bhi guman hota hai qabr ka

meri sham-e-nur ke us taraf meri KHak-e-sabz ke is taraf

ye nai zamin hai jabr ki ye naya gulab hai sabr ka

mere aaine se juda hua jo charagh-e-hijr to ye khula

chaman-e-sitara-o-rang mein bhi kahin qayam hai abr ka

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Subh-e-KHwab Ke Shahr Par Yahi Ek Jawaz Hai Jabr Ka In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Meri Subh-e-KHwab Ke Shahr Par Yahi Ek Jawaz Hai Jabr Ka is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Meri Subh-e-KHwab Ke Shahr Par Yahi Ek Jawaz Hai Jabr Ka for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Meri Subh-e-KHwab Ke Shahr Par Yahi Ek Jawaz Hai Jabr Ka in PDF.