Aaina-asa Ye KHwab-e-nilamin Rakkhunga Main

aaina-asa ye KHwab-e-nilamin rakkhunga main

aur us ujle sitare par yaqin rakkhunga main

umr bhar KHush aaegi kya meri tanhai mujhe

rabta har chand logon se nahin rakkhunga main

shahr hi aisa andhera hai ki ek din bhul kar

taqche mein phir charagh-e-awwalin rakkhunga main

ras aati hi nahin jab pyar ki shiddat mujhe

ek kami apni mohabbat mein kahin rakkhunga main

ek saya sa guzar jaega mauj-e-nur se

jab ujale mein wo shaKH-e-yasmin rakkhunga main

han yahi miTTi wirasat hai mere ajdad ki

lauT kar apni kamai bhi yahin rakkhunga main

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina-asa Ye KHwab-e-nilamin Rakkhunga Main In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Aaina-asa Ye KHwab-e-nilamin Rakkhunga Main is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Aaina-asa Ye KHwab-e-nilamin Rakkhunga Main for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Aaina-asa Ye KHwab-e-nilamin Rakkhunga Main in PDF.