Numud Pate Hain Manzaron Ki Shikast Se Fath Ke Bahane

numud pate hain manzaron ki shikast se fath ke bahane

charagh zinda kiya hai mera gali mein dam toDti hawa ne

ye jaante hain ki samne hai gurez karti hui mohabbat

magar mere sath chal rahe hain wahi mazahir wahi zamane

musafiron ke liye to yaksan hai dasht aur shahr se guzarna

ki sham hote hi tan lete hain log KHwabon ke shamiyane

to kyun ye sahil ki dhup mere niDhaal qadmon se aa lagi hai

mujhe kinare laga diya hai agar kisi shaKHs ki dua ne

kisi ko ek aatish-e-guman ne tamam-tar rakh kar diya hai

kisi ko kandan bana diya hai yaqin ki KHak-e-kimiya ne

har aan mere wajud mein yun ana ki tamir ho rahi hai

ki jaise bheja gaya hun main bhi zamin par ek makan banane

mujhe yaqin hai ki mere bas mein hai manzil-e-shauq par utarna

mujhe bahut hausla diya hai meri mohabbat mere KHuda ne

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Numud Pate Hain Manzaron Ki Shikast Se Fath Ke Bahane In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Numud Pate Hain Manzaron Ki Shikast Se Fath Ke Bahane is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Numud Pate Hain Manzaron Ki Shikast Se Fath Ke Bahane for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Numud Pate Hain Manzaron Ki Shikast Se Fath Ke Bahane in PDF.