Kisi Ko Zahr Dunga Aur Kisi Ko Jam Dunga

kisi ko zahr dunga aur kisi ko jam dunga

main apne jaan-nisaron ko yahi inam dunga

andhere mein damak uThte hain jitne bhi sitare

agar fursat mili to main unhen kuchh nam dunga

kisi tarik miTTi par mujhe bhi sath rakhna

ki main tujh ko kisi mushkil ghaDi mein kaam dunga

thaka-haara hun tanha hun magar ye baat tai hai

main tohfe mein tujhe ek roz mulk-e-sham dunga

dukan-e-aslaha se main ne jo shamshir li hai

main us ke dam puchhunga na us ke dam dunga

mujhe har roz kahta hai ye baat ab mera beTa

tujhe main is buDhape mein bahut aaram dunga

(1356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ko Zahr Dunga Aur Kisi Ko Jam Dunga In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Kisi Ko Zahr Dunga Aur Kisi Ko Jam Dunga is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Kisi Ko Zahr Dunga Aur Kisi Ko Jam Dunga for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Kisi Ko Zahr Dunga Aur Kisi Ko Jam Dunga in PDF.