Nashat-e-fath Se To Daman-e-dil Bhar Nahin Pae

nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae

magar kyun haarne wale mohabbat kar nahin pae

mudawa kis tarah hoga wahan zangar-e-wahshat ka

agar kuchh aaine hum ne sitaron par nahin pae

fasil-e-shahr se aage zara sa dasht khiska tha

aur is ke baad logon ne bahut se ghar nahin pae

sukut-e-marg kya TuTe ki hum ne shahar se bahar

daraKHton mein parinde bhi ziyaada-tar nahin pae

kisi ne faqr se apne KHazane bhar liye lekin

kisi ne shahryaron se bhi sim-o-zar nahin pae

dayar-e-ishq ke paudon mein ab bhi phul aate hain

ki hum ne bhik mein 'sajid' kabhi aKHgar nahin pae

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashat-e-fath Se To Daman-e-dil Bhar Nahin Pae In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Nashat-e-fath Se To Daman-e-dil Bhar Nahin Pae is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Nashat-e-fath Se To Daman-e-dil Bhar Nahin Pae for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Nashat-e-fath Se To Daman-e-dil Bhar Nahin Pae in PDF.