Laraz Jata Hai ThoDi Der Ko Tar-e-nafas Mera

laraz jata hai thoDi der ko tar-e-nafas mera

sar-e-maidan kabhi jab jast karta hai faras mera

main KHud se dur ho jata hun us se dur hone par

rihai chahta hun aur muqaddar hai qafas mera

zara mushkil se ab pahchanta hun in manazir ko

qayam us KHak-dan par tha abhi pichhle baras mera

dua karta hun milne ki tamanna kar nahin pata

bhala kya samna kar paenge ahl-e-hawas mera

nahin bhulegi meri dastan-e-ishq-e-duniya ko

ki sahra mein abhi tak nam leti hai jaras mera

numud-e-aks ki is ko zamanat kaun de 'sajid'

nahin hai jab shaguft-e-aina par koi bas mera

(1145) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laraz Jata Hai ThoDi Der Ko Tar-e-nafas Mera In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Laraz Jata Hai ThoDi Der Ko Tar-e-nafas Mera is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Laraz Jata Hai ThoDi Der Ko Tar-e-nafas Mera for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Laraz Jata Hai ThoDi Der Ko Tar-e-nafas Mera in PDF.