Main Apne Suraj Ke Sath Zinda Rahunga To Ye KHabar Milegi
main apne suraj ke sath zinda rahunga to ye KHabar milegi
gulab kis shaKH par khilega charagh ki lau kahan rukegi
main zina-e-KHwab se utar kar sahar talak aa to jaun lekin
ye sham mujh par ayan na hogi ye shab mujhe rasta na degi
jo rang mujh mein sanwar rahe the wo sham hote hi kho gae hain
jo shama mere wajud mein jal rahi hai kis subh tak jalegi
sahar hui to meri thakan se niDhaal aankhon ke thamne ko
ye nur kis samt mein Dhalega ye chhanw kis or se baDhegi
main ek nizam-e-kohan ke narghe mein sans le kar bhi sochta hun
ki subh kaise tulua hogi ki sham kis rang mein Dhalegi
main apne ham-rah ek duniya ko le ke jab chal paDunga 'sajid'
zamin pani ke narm dhaare pe kya yunhi ghumti rahegi
(1226) Peoples Rate This