Masafat-e-umr Mein Ziyan Ka Hisab Hota Hai Justuju Se

masafat-e-umr mein ziyan ka hisab hota hai justuju se

magar main duniya ko dekhta hun charagh aur aaine ki ru se

main us gul-KHwab ki mayyat mein sans lete bhi Dar raha hun

ki shaKH baDhne se beshtar hi na qata ho KHwahish-e-numu se

nashat-e-izhaar par agarche rawa nahin e'tibar karna

magar ye sach hai ki aadmi ka suragh milta hai guftugu se

main ek muddat se is jahan ka asir hun aur sochta hun

ye KHwab TuTega kis qadam par ye rang chhuTega kab lahu se

ye mishal-e-KHwab bhi na 'sajid' kisi sitare ki pesh-rau ho

ki mere sine mein ek gham ne numud pai hai aarzu se

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masafat-e-umr Mein Ziyan Ka Hisab Hota Hai Justuju Se In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Masafat-e-umr Mein Ziyan Ka Hisab Hota Hai Justuju Se is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Masafat-e-umr Mein Ziyan Ka Hisab Hota Hai Justuju Se for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Masafat-e-umr Mein Ziyan Ka Hisab Hota Hai Justuju Se in PDF.