Dayar-e-KHwab Ko Niklunga Sar UTha Kar Main
dayar-e-KHwab ko niklunga sar uTha kar main
ki shad rahta hun ranj-e-safar uTha kar main
charagh jal na sakega jo us ki aankhon mein
dharunga us ko kisi taq par uTha kar main
suna hai taKHt muqaddar se hath aata hai
KHajil hun rahat-e-tegh-o-sipar uTha kar main
chale jo sarw-o-saman mein bhi sath chal dunga
khaDa rahunga na bar-e-samar uTha kar main
tere bahisht mein dil lag nahin raha mera
ki sath la nahin paya hun ghar uTha kar main
ulajh raha ho agar ghair ki nigahon se
lapeT leta hun tar-e-nazar uTha kar main
alag nahin hun main apni tarah ke logon se
paDa hun zahmat-e-diwar-o-dar uTha kar main
nahin sununga nasihat kisi siyane ki
rahunga tohmat-e-nau-e-bashar uTha kar main
yaqin kaise nahin aaega unhen mujh par
wafa mein fard hun KHauf-o-KHatar uTha kar main
kahin visal ki surat agar dikhai di
nikal paDunga na sham-e-sahar uTha kar main
kisi pari ke tasawwur mein chum leta hun
kisi gulab ko bar-e-digar uTha kar main
bahut hain chahne wale mere jahan-bhar mein
girafta dil nahin bar-e-hunar uTha kar main
makan chhoD to dun us hasin ke kahne par
gali mein launga kya kya magar uTha kar main
mujhe wo taish dilate rahe agar 'sajid'
to gundh dunga ye sara nagar uTha kar main
(16625) Peoples Rate This