Sar Par Kisi Gharib Ke Na-chaar Gir PaDe

sar par kisi gharib ke na-chaar gir paDe

mumkin hai mere sabr ki diwar gir paDe

kya KHub suraKH-ru hue hum kar-e-ishq mein

do-chaar kaam aa gae do-chaar gir paDe

is bar jab ajal se mera samna hua

kashti se KHwab hath se patwar gir paDe

raushan koi charagh nahin naKHl-e-tur par

sajde mein kis ko dekh kar ashjar gir paDe

karti hai farsh KHak ko diwar-e-aina

aankhon se jab ye daulat-e-bedar gir paDe

is par dekh kar mujhe ek gul-badan ke sath

jitne mere gulab the us par gir paDe

'sajid' agar aziz thi apni ana unhen

kya soch kar gali mein mere yar gir paDe

(10463) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Par Kisi Gharib Ke Na-chaar Gir PaDe In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Sar Par Kisi Gharib Ke Na-chaar Gir PaDe is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Sar Par Kisi Gharib Ke Na-chaar Gir PaDe for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Sar Par Kisi Gharib Ke Na-chaar Gir PaDe in PDF.