Zamin Meri Rahegi Na Aaina Mera

zamin meri rahegi na aaina mera

ki aazmane chala hai mujhe KHuda mera

mere tilism se aazad bhi nahin lekin

wo phul pahli nazar mein hua na tha mera

naim basra-o-baghdad haarne ke baad

mera wajud bhi shayad nahin raha mera

wo mere pas rahe ya kahin chala jae

rahega us ke KHayalon se silsila mera

kisi ki khoj mein nikla tha be-irada main

badan niDhaal tha sar ghumta hua mera

nahin hai ab mujhe anjam ki koi parwa

baDha diya hai mohabbat ne hausla mera

hua hai qata masafat ka silsila jari

main ruk gaya to badan TuTne laga mera

yaqin nahin hai magar naqsh hai mere dil par

ki ek pari ne banaya hai zaicha mera

wo bar bar palaTta hai dur ja-ja kar

so TuT TuT ke juDta hai rabta mera

nazar ki had pe jo ek najm-e-KHwab hai 'sajid'

wahi charagh hai us ka wahi diya mera

(14192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Meri Rahegi Na Aaina Mera In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Zamin Meri Rahegi Na Aaina Mera is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Zamin Meri Rahegi Na Aaina Mera for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Zamin Meri Rahegi Na Aaina Mera in PDF.