Hasil Kisi Se Naqd-e-himayat Na Kar Saka

hasil kisi se naqd-e-himayat na kar saka

main apni saltanat pe hukumat na kar saka

har rang mein raqib-e-zar-e-nam-o-nang hun

main wo hun jo kisi se mohabbat na kar saka

ghulta raha hai meri ragon mein bhi koi zahr

lekin main is dayar se hijrat na kar saka

paDta nahin kisi ke bichhaDne se koi farq

main us ko sach batane ki zahmat na kar saka

aaya jo us ka zikr to main gung rah gaya

aur aaine se us ki shikayat na kar saka

baqi rakhi hai mere lahu ne mata-e-hosh

main ne wafa to ki thi nihayat na kar saka

ab bhi shagufta nur se hai us ko rabt-e-KHas

wo jo mere charagh ki izzat na kar saka

har-chand us gulab pe tashbib khul gai

is par bhi main gurez ki himmat na kar saka

'sajid' qafas ki tiliyon ko toD kar bhi main

is dasht-e-be-kanar mein wahshat na kar saka

(23414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasil Kisi Se Naqd-e-himayat Na Kar Saka In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Hasil Kisi Se Naqd-e-himayat Na Kar Saka is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Hasil Kisi Se Naqd-e-himayat Na Kar Saka for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Hasil Kisi Se Naqd-e-himayat Na Kar Saka in PDF.