HonTon Par Hai Baat KaDi Taziren Bhi

honTon par hai baat kaDi taziren bhi

KHamoshi ka rang huin taqriren bhi

KHauf yahi hai aane wali naslon ko

ek ajuba hongi ye tahriren bhi

mausam ke sau rup magar in aankhon mein

KHwab wahi hain KHwabon ki tabiren bhi

aainda ke sans hamare apne hain

TuT chukin is wade ki zanjiren bhi

ek ajab hairat mein gum-sum rahti hain

diwaren diwaron par taswiren bhi

pani ki KHamosh sadaen kaun sune

KHatm huin jab miTTi ki tasiren bhi

(1121) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

HonTon Par Hai Baat KaDi Taziren Bhi In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. HonTon Par Hai Baat KaDi Taziren Bhi is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem HonTon Par Hai Baat KaDi Taziren Bhi for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download HonTon Par Hai Baat KaDi Taziren Bhi in PDF.