Hua Raushan Dam-e-KHurshid Se Phir Rang Pani Ka

hua raushan dam-e-KHurshid se phir rang pani ka

damak uTTha hai mere aaine par zang pani ka

muqayyad rang khilte hon kisi billor se jaise

khula is tarah mere KHwab par arzang pani ka

kisi anjaan KHushbu se tabiat sair hai us ki

agarche qafiya kuchh rose se hai tang pani ka

satata hai jo dasht-e-na-muradi ke asiron ko

wo tara us hasin ke samne hai dang pani ka

bahut hi yaad aata hai koi bachhDa hua mujh ko

kabhi jab samna karta hun shoKH-o-shang pani ka

abhi fursat nahin hai kar-e-duniya mein ulajhne ki

magar tabdil kar sakta hun main bhi Dhang pani ka

bahut din se main 'sajid' darmiyan hun apne pyaron ke

ki ThanDa paD chuka hai ab mahaz-e-jang pani ka

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hua Raushan Dam-e-KHurshid Se Phir Rang Pani Ka In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Hua Raushan Dam-e-KHurshid Se Phir Rang Pani Ka is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Hua Raushan Dam-e-KHurshid Se Phir Rang Pani Ka for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Hua Raushan Dam-e-KHurshid Se Phir Rang Pani Ka in PDF.