Hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman Mein Koi Nahin

hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman mein koi nahin

mere alawa mere karwan mein koi nahin

charagh jalte hain kyun raat-bhar mere dil mein

bahut dinon se agar is makan mein koi nahin

hai meri fath-o-hazimat ka kyun asar us par

sharik agar mere sud-o-ziyan mein koi nahin

Thahar sake jo mere samne ghaDi-do-ghaDi

wo shahsawar saf-e-dushmanan mein koi nahin

bhaTak raha hun hujum-e-nujum mein tanha

ki mujh sa aur kisi kahkashan mein koi nahin

ajib ek masarrat se aashna hain wo

asir-e-gham tere aashuftagan mein koi nahin

mili ho jis ko wirasat mein umr-bhar 'sajid'

wo KHush-nasib kisi KHak-dan mein koi nahin

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman Mein Koi Nahin In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman Mein Koi Nahin is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman Mein Koi Nahin for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman Mein Koi Nahin in PDF.