Mata-e-did To Kya Jaaniye Kis Se Ibarat Hai

mata-e-did to kya jaaniye kis se ibarat hai

charagh-e-KHwab hi kuchh der raushan ho ghanimat hai

kisi ke dar pe dastak dun to KHud bahar nikalta hun

KHabar kya kaun se ghar tak tere gham ki riyasat hai

sanwarte zawiyon mein muskuraati shakl hai meri

chaTaKHte aainon mein bhi koi meri hi surat hai

sitaron ke jilau mein aur kitni dur tak le jaen

kaho to subh hone tak bhala kitni masafat hai

nadamat phul se nazuk labon par barf ki sil hai

aur aankhon mein kisi bite hue din ki wazahat hai

mere mashal jalate hi sitara Dub kar nikla

main samjha hun mujhe bhi lauT jaane ki ijazat hai

kabhi majbur kar dena kabhi majbur ho jaana

yahi tera watira hai yahi teri siyasat hai

mujhe apni qasam 'sajid' main us ke kaam aaunga

agar ye ilm ho jae kise meri zarurat hai

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mata-e-did To Kya Jaaniye Kis Se Ibarat Hai In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Mata-e-did To Kya Jaaniye Kis Se Ibarat Hai is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Mata-e-did To Kya Jaaniye Kis Se Ibarat Hai for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Mata-e-did To Kya Jaaniye Kis Se Ibarat Hai in PDF.